Upcoming Events :     Janmashtami (Aug 28)   Teacher’s Day (September 5)      Ganesh Chaturthi (September 9)    

Wednesday, 14 August 2013

Independence day (15th August) short poems|Desh Bhakti Hindi kavita

There are large Collection on Independence Day 2013 Poem in Hindi, Free Desh Bhakti Poems, new Kavita, Shayari in Hindi and English.  Read 15th august Your Favorite Hindi Patriotic Poems.   

Maathe Par Giri-Raj Himalay

Baccho Apni Shan Hai Dikhaata

Charno Mein Bhaarat Mata Key

Saagar Bhi Hai Sheesh Jhukaata

Paschhim Aur Purab Ke Jungal Mein

Bhaag Sher  Sab Paye Jaatey

Nadiyo Mein Ghadiyaal Magar Sub

Apnaa Roop Dikhaatey

Mitti Ore Hawaa Deti Hai

Dharti Ko Mohak Pareevesh

Issi Liye Toh Pyaare Baccho

Anokha Sabsey Bhaarat Desh!

=================================

Tiranga uncha lahraye

Dhwaj Bharat ka apana pyara,
Tiranga uncha lahraye.
Gaurav hai yah matribhumi ka,
Jag men shan badhaye.

Sab se uper rang keshariya ,
Ran veeneron ki nishani.
Neeche hara rang kahata hai,
Aman prem ki kahani.
Beech men ujjwal shwet rang,
Her man ko sukh panhuchaye.

Shikheron maidanon men ye,
Her jagah hai shobha pata.
Sager ke seene per chalate,
Poton per phahrata.
Isako aage leker chalatin,
Hain teenon senayen.

Uncha sada uthayenge ham,
Jara na jhukane denge.
Buri nazar dale ger koi,
Sabak use ham denge.
Ajadi ka chinh tiranga uncha uthata jaye

================================
Wahi Purab hai, Wahi Paschim hai,
Washi Uttar hai Wahi Dakshin,
Tukde-Tukde Meri Dharti ke,
Nahi Bhulta mai woh kshan.

Kaise Beete pata nahi hai,
67 Warsh Azadi ke.
Azad Hindustan kaisa hoga,
Sapne har ek manav ke.

Jan-Jan mein goonjta naam hai,
Bharat ke veer shahidon ka.
Aaj bhi aisi veer shahidi,
Bhula na sakta Hindustan.

Karwan ki pakdi dagar aisi,
Grihatyag balidaan kiya.
Maatribhumi ko sheesh chadhane,
Veeron ne kaisa pran liya.

Ahinsa ke bal Gaandhi koode,
Raajneeti Nehru ji ki.
Subhash Chander, Shekhar jaison ne,
Laaj bachai bharat ki.

Raajguru, Batukeshwar Dutt bhi,
Shaheed ho gaye is ran mein.
Amar shaheedi tabhi bachi hai,
Swatantra bharat ke kan-kan mein.

Chale gaye Angrej chhod desh,
Apni dharti tod gaye.
Bharat aur Pakistan banaakar,
Fir se jhagda jod gaye.

“Angrejo Bharat Chhodo”,
“Jai Hind” Hamara Naara tha.
Bharat ki dharati goonj uthi,
Jan-Jan ne yahi pukara tha.

Aao aaj fir se hum,
Unhi palon ko yaad karen.
Yah Shubh din Amar rahe,
Baar-baar fariyaad karen.

“Jai Hind” “Jai Bharat” Bolo,
Deshbhakti mein amrit gholo.
Swatrata diwas amar rahe,
Hindustani dil se bolo.
Read more